sukut se bhi suKHan ko nikal lata hua
sukūt se bhī suḳhan ko nikāl laatā huā
ye maiñ huuñ lauh-e-shikasta se lafz uThātā huā
makāñ kī tangī o tārīkī besh-tar thī so maiñ
diye jalātā huā aa.ine banātā huā
tire ġhayāb ko maujūd meñ badalte hue
kabhī maiñ ḳhud ko tire naam se bulātā huā
charāġh jalte hī ik shahr munkashif ham par
aur us ke baa'd vahī shahr Duub jaatā huā
bas ek ḳhvāb ki us qarya-e-badan se hunūz
navāh-e-dil talak ik rāsta sā aatā huā
sukut se bhi suKHan ko nikal lata hua
ye main hun lauh-e-shikasta se lafz uThata hua
makan ki tangi o tariki besh-tar thi so main
diye jalata hua aaine banata hua
tere ghayab ko maujud mein badalte hue
kabhi main KHud ko tere nam se bulata hua
charagh jalte hi ek shahr munkashif hum par
aur us ke ba'd wahi shahr Dub jata hua
bas ek KHwab ki us qarya-e-badan se hunuz
nawah-e-dil talak ek rasta sa aata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.