sulagti nazron ka KHwab ho tum
sulagtī nazroñ kā ḳhvāb ho tum
mohabbatoñ kā shabāb ho tum
samajh na paa.ī jise kabhī maiñ
kitāb-e-dil kā vo baab ho tum
kaho to juz daan meñ chhupā luuñ
khulī huī ik kitāb ho tum
bichhe the rāhoñ meñ phuul kitne
jo bhā gayā vo gulāb ho tum
burā kahe tum ko laakh duniyā
mire to ālī-janāb ho tum
nahīñ hai bas maiñ tumheñ bhulānā
ajab tarah kā azaab ho tum
lagā ki manzil tumhī ho lekin
nazar kā merī sarāb ho tum
vafā se aarī sahī mizājan
vafā kā merī javāb ho tum
ka.ī savāloñ meñ tum ghire ho
magar bahut lā-javāb ho tum
ulaT ke rakh dī hai merī duniyā
hayāt kā inqalāb ho tum
maiñ raag rañg aur raqs jaisī
ġhazal tarannum rabāb ho tum
ye nashsha TuuTā na zindagī-bhar
bahut purānī sharāb ho tum
ai jaan 'bāno' ye jaan lo ab
ba-zāt-e-ḳhud intiḳhāb ho tum
sulagti nazron ka KHwab ho tum
mohabbaton ka shabab ho tum
samajh na pai jise kabhi main
kitab-e-dil ka wo bab ho tum
kaho to juz dan mein chhupa lun
khuli hui ek kitab ho tum
bichhe the rahon mein phul kitne
jo bha gaya wo gulab ho tum
bura kahe tum ko lakh duniya
mere to aali-janab ho tum
nahin hai bas main tumhein bhulana
ajab tarah ka azab ho tum
laga ki manzil tumhi ho lekin
nazar ka meri sarab ho tum
wafa se aari sahi mizajan
wafa ka meri jawab ho tum
kai sawalon mein tum ghire ho
magar bahut la-jawab ho tum
ulaT ke rakh di hai meri duniya
hayat ka inqalab ho tum
main rag rang aur raqs jaisi
ghazal tarannum rabab ho tum
ye nashsha TuTa na zindagi-bhar
bahut purani sharab ho tum
ai jaan 'bano' ye jaan lo ab
ba-zat-e-KHud intiKHab ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.