ruh mein masti bhar deta hai
ruuh meñ mastī bhar detā hai
ishq qalandar kar detā hai
koī mohabbat meñ dil apnā
koī apnā sar detā hai
sab ko miTTī karne vaalā
kisī kisī ko par detā hai
maiñ ne dekhā bin māñge vo
sab kī jholī bhar detā hai
ab bhī shāḳh pe aa kar koī
mujh ko merī ḳhabar detā hai
dasht diyā hai jis ne 'jāzib'
dekheñ kab vo ghar detā hai
ruh mein masti bhar deta hai
ishq qalandar kar deta hai
koi mohabbat mein dil apna
koi apna sar deta hai
sab ko miTTi karne wala
kisi kisi ko par deta hai
main ne dekha bin mange wo
sab ki jholi bhar deta hai
ab bhi shaKH pe aa kar koi
mujh ko meri KHabar deta hai
dasht diya hai jis ne 'jazib'
dekhen kab wo ghar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.