sulh ke baad mohabbat nahin kar sakta main
sulh ke ba.ad mohabbat nahīñ kar saktā maiñ
muḳhtasar ye ki vazāhat nahīñ kar saktā maiñ
dil tire hijr meñ sarshār huā phirtā hai
ab kisī dasht meñ vahshat nahīñ kar saktā maiñ
mere chehre pe haiñ āñkheñ mire siine meñ hai dil
is liye terī hifāzat nahīñ kar saktā maiñ
har taraf tū nazar aatā hai jidhar jaatā huuñ
tere imkān se hijrat nahīñ kar saktā maiñ
itnā tarsāyā gayā mujh ko mohabbat se ki ab
ik mohabbat pe qanā.at nahīñ kar saktā maiñ
apnā īmāñ bhī tujhe sauñp diyā hai 'anjum'
is se baḌh kar to saḳhāvat nahīñ kar saktā maiñ
sulh ke baad mohabbat nahin kar sakta main
muKHtasar ye ki wazahat nahin kar sakta main
dil tere hijr mein sarshaar hua phirta hai
ab kisi dasht mein wahshat nahin kar sakta main
mere chehre pe hain aankhen mere sine mein hai dil
is liye teri hifazat nahin kar sakta main
har taraf tu nazar aata hai jidhar jata hun
tere imkan se hijrat nahin kar sakta main
itna tarsaya gaya mujh ko mohabbat se ki ab
ek mohabbat pe qanaat nahin kar sakta main
apna iman bhi tujhe saunp diya hai 'anjum'
is se baDh kar to saKHawat nahin kar sakta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.