suluk dekh liya be-hunar hawaon ka
sulūk dekh liyā be-hunar havāoñ kā
har ek shāḳh hai manzar udaas rāhoñ kā
vo chāñd ban ke mirī raat par utartā hai
to kaise yaad rakhūñ rañg phir qabāoñ kā
na koī nazm hī likkhī na tujh se baat huī
ye puurā saal hī Thahrā mujhe sazāoñ kā
talab rahe to mahakte haiñ chāhatoñ ke phuul
talab miTe to sila kaisā phir vafāoñ kā
nahīñ ye koh-e-nidā se hai kuchh alag bastī
javāb aatā nahīñ lauT kar sadāoñ kā
suluk dekh liya be-hunar hawaon ka
har ek shaKH hai manzar udas rahon ka
wo chand ban ke meri raat par utarta hai
to kaise yaad rakhun rang phir qabaon ka
na koi nazm hi likkhi na tujh se baat hui
ye pura sal hi Thahra mujhe sazaon ka
talab rahe to mahakte hain chahaton ke phul
talab miTe to sila kaisa phir wafaon ka
nahin ye koh-e-nida se hai kuchh alag basti
jawab aata nahin lauT kar sadaon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.