sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain
sun bastiyoñ kā haal jo had se guzar ga.iiñ
un ummatoñ kā zikr jo rastoñ meñ mar ga.iiñ
kar yaad un dinoñ ko ki ābād thiiñ yahāñ
galiyāñ jo ḳhaak o ḳhuun kī dahshat se bhar ga.iiñ
sarsar kī zad meñ aa.e hue bām-o-dar ko dekh
kaisī havā.eñ kaisā nagar sard kar ga.iiñ
kyā baab the yahāñ jo sadā se nahīñ khule
kaisī duā.eñ thiiñ jo yahāñ be-asar ga.iiñ
tanhā ujaaḌ burjoñ meñ phirtā hai tū 'munīr'
vo zar-fishāniyāñ tire ruḳh kī kidhar ga.iiñ
sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain
un ummaton ka zikr jo raston mein mar gain
kar yaad un dinon ko ki aabaad thin yahan
galiyan jo KHak o KHun ki dahshat se bhar gain
sarsar ki zad mein aae hue baam-o-dar ko dekh
kaisi hawaen kaisa nagar sard kar gain
kya bab the yahan jo sada se nahin khule
kaisi duaen thin jo yahan be-asar gain
tanha ujaD burjon mein phirta hai tu 'munir'
wo zar-fishaniyan tere ruKH ki kidhar gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.