sun! hijr aur visal ka jadu kahan gaya
sun! hijr aur visāl kā jaadū kahāñ gayā
maiñ to kahīñ nahīñ thā magar tū kahāñ gayā
jab ḳhema-e-ḳhayāl meñ tasvīr hai vahī
vo dasht-e-nā-murād vo aahū kahāñ gayā
bistar pe gir rahī hai siyah āsmāñ se raakh
vo chāñdnī kahāñ hai vo mah-rū kahāñ gayā
jis ke baġhair jī nahīñ sakte the jā chukā
par dil se dard aañkh se aañsū kahāñ gayā
phir ḳhaak uḌ rahī hai makān-e-vajūd meñ
ai jān-e-be-qarār vo dil-jū kahāñ gayā
sun! hijr aur visal ka jadu kahan gaya
main to kahin nahin tha magar tu kahan gaya
jab KHema-e-KHayal mein taswir hai wahi
wo dasht-e-na-murad wo aahu kahan gaya
bistar pe gir rahi hai siyah aasman se rakh
wo chandni kahan hai wo mah-ru kahan gaya
jis ke baghair ji nahin sakte the ja chuka
par dil se dard aankh se aansu kahan gaya
phir KHak uD rahi hai makan-e-wajud mein
ai jaan-e-be-qarar wo dil-ju kahan gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.