sun kaha man na manega to pachhtaega
sun kahā maan na mānegā to pachhtā.egā
pyaar nādān ko mat de ki ye mar jā.egā
ravish-e-ām se hoshyār ki pachhtā.egā
vaqt ko chhoḌ ye paanī hai guzar jā.egā
sach koī fan to nahīñ hai jo sikhāyā jaa.e
jhuuT se kaam le sach bolnā aa jā.egā
do pahar hāl-e-ġhanīmat haiñ akele-pan se
saath mat chhoḌ ki āñkhoñ meñ bikhar jā.egā
bahr-e-zulmāt pasīna hai mirī āñkhoñ kā
zid na kar kaam ye aañsū kā bhī kar jā.egā
in lahū-rañg fazāoñ pe na jā baat samajh
ghar ke aaseb se bach vaqt badal jā.egā
merī ġhazleñ haiñ mohabbat ke sahīfe 'anjum'
paḌhne vāloñ ko tilāvat kā mazā aa.egā
sun kaha man na manega to pachhtaega
pyar nadan ko mat de ki ye mar jaega
rawish-e-am se hoshyar ki pachhtaega
waqt ko chhoD ye pani hai guzar jaega
sach koi fan to nahin hai jo sikhaya jae
jhuT se kaam le sach bolna aa jaega
do pahar haal-e-ghanimat hain akele-pan se
sath mat chhoD ki aankhon mein bikhar jaega
bahr-e-zulmat pasina hai meri aankhon ka
zid na kar kaam ye aansu ka bhi kar jaega
in lahu-rang fazaon pe na ja baat samajh
ghar ke aaseb se bach waqt badal jaega
meri ghazlen hain mohabbat ke sahife 'anjum'
paDhne walon ko tilawat ka maza aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.