sun ke har samt siskiyan maine
sun ke har samt siskiyāñ maiñ ne
band kar liiñ thiiñ khiḌkiyāñ maiñ ne
ye bhī dastūr hai mohabbat kā
haar kar jiitī bāziyāñ maiñ ne
haath uThte nahīñ duā ke liye
ab jalā diiñ haiñ arziyāñ maiñ ne
ham-safar vo jo ham-safar hī na thā
aur phir kar liiñ dūriyāñ maiñ ne
par katar paa.ī jab na ḳhvāboñ ke
band hī kar diiñ khiḌkiyāñ maiñ ne
sun ke har samt siskiyan main ne
band kar lin thin khiDkiyan main ne
ye bhi dastur hai mohabbat ka
haar kar jiti baziyan main ne
hath uThte nahin dua ke liye
ab jala din hain arziyan main ne
ham-safar wo jo ham-safar hi na tha
aur phir kar lin duriyan main ne
par katar pai jab na KHwabon ke
band hi kar din khiDkiyan main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.