sun mere dil ki zara aawaz dost
sun mire dil kī zarā āvāz dost
ai mire mohsin mire hamrāz dost
dil meñ hai ik vahshat-e-karb-o-balā
tū mire siine meñ bajtā saaz dost
jo tapish sūraj kī sah sakte nahīñ
vo kiyā karte nahīñ parvāz dost
dard sahne meñ jinheñ lazzat milī
pā sake vo log hī e'jāz dost
zindagī bhar jo na bhar paa.e kabhī
baḳhsh tū is zaḳhm kā e'zāz dost
kyā ḳhulūs-e-ādmiyyat hai yahī
zindagī kā hai yahī andāz dost
kyā batā.eñ rāz-e-dil ab ham tujhe
dil se kab chhuptā hai koī raaz dost
maut hai vā'da vafā karne kā naam
ik hayāt-e-nau kā hai āġhāz dost
ḳhvāb hai 'tāriq' ḳhayāl-e-zindagī
pyaas kā sahrā tirī āvāz dost
sun mere dil ki zara aawaz dost
ai mere mohsin mere hamraaz dost
dil mein hai ek wahshat-e-karb-o-bala
tu mere sine mein bajta saz dost
jo tapish suraj ki sah sakte nahin
wo kiya karte nahin parwaz dost
dard sahne mein jinhen lazzat mili
pa sake wo log hi e'jaz dost
zindagi bhar jo na bhar pae kabhi
baKHsh tu is zaKHm ka e'zaz dost
kya KHulus-e-admiyyat hai yahi
zindagi ka hai yahi andaz dost
kya bataen raaz-e-dil ab hum tujhe
dil se kab chhupta hai koi raaz dost
maut hai wa'da wafa karne ka nam
ek hayat-e-nau ka hai aaghaz dost
KHwab hai 'tariq' KHayal-e-zindagi
pyas ka sahra teri aawaz dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.