sun meri dastan hairat mein
sun mirī dāstān hairat meñ
hai zamīn āsmān hairat meñ
ik tahayyur hai chaar sū mere
rok dī hai uḌaan hairat meñ
aag hai phailtī hī jaatī hai
haiñ makīn aur makān hairat meñ
ain manzil pe lā ke chhoḌ diyā
ab talak huuñ maiñ jaan hairat meñ
ya.anī mahfūz huuñ ḳhudā shāhid
tiir shashdar kamān hairat meñ
ab vafā kī khapat nahīñ koī
band kar dī dukān hairat meñ
shor kartī hai aañkh pāgal sī
dekhtī hai zabān hairat meñ
sun meri dastan hairat mein
hai zamin aasman hairat mein
ek tahayyur hai chaar su mere
rok di hai uDan hairat mein
aag hai phailti hi jati hai
hain makin aur makan hairat mein
ain manzil pe la ke chhoD diya
ab talak hun main jaan hairat mein
yani mahfuz hun KHuda shahid
tir shashdar kaman hairat mein
ab wafa ki khapat nahin koi
band kar di dukan hairat mein
shor karti hai aankh pagal si
dekhti hai zaban hairat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.