suna hai ban ke shikayat huzur tak pahunchi
sunā hai ban ke shikāyat huzūr tak pahuñchī
fuġhān-e-zer-e-labī kitnī duur tak pahuñchī
chhupe to ho ga.e mastūr gul meñ bū kī tarah
khule to jalvagarī barq-e-tūr tak pahuñchī
bayāñ jo baat huī kho ga.ī vo lafzoñ meñ
jo an-kahī thī vo tahtush-shu.ūr tak pahuñchī
thī baat dil meñ to ma.asūmiyat kā jauhar thī
chaḌhī zabāñ pe to fisq-o-fujūr tak pahuñchī
suna hai ban ke shikayat huzur tak pahunchi
fughan-e-zer-e-labi kitni dur tak pahunchi
chhupe to ho gae mastur gul mein bu ki tarah
khule to jalwagari barq-e-tur tak pahunchi
bayan jo baat hui kho gai wo lafzon mein
jo an-kahi thi wo tahtush-shuur tak pahunchi
thi baat dil mein to masumiyat ka jauhar thi
chaDhi zaban pe to fisq-o-fujur tak pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.