suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi
suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi
Ahmad Jahangir
MORE BYAhmad Jahangir
sunā hai kīchaḌ ke sūkhne par hayāt cholā badal rahī thī
shajar se nīche utar ke ḳhilqat nahīf qadmoñ pe chal rahī thī
vasī.a raqbe kā be-nihāyat ḳhatīr malba simaT rahā thā
za.iif taare kī dhoñknī se muhīb zulmat ubal rahī thī
tavāf kartī havā kā ronā matāf meñ ġhul machā rahā thā
haram ke phāTak se bain kartī koī savārī nikal rahī thī
vabā kī aafat kā tāziyāna siyāh pushtoñ pe paḌ chukā thā
nigār-ḳhāne ke tāqche meñ ḳhabar kī hāñDī ubal rahī thī
falak ke koThe pe dekhtā huuñ nayā sitāra chamak rahā hai
zamīñ pe girne se qabl shāyad shuā qarnoñ se chal rahī thī
salām kartī huī sahar kā kivāḌ chaupaT khulā huā thā
falak kā nīlam chamak rahā thā nadī meñ chāñdī pighal rahī thī
safar kā saf.ha khulā to us par fanā kā naqsha banā huā thā
hamārā nashsha utar chukā thā hamārī mastī sañbhal rahī thī
suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi
shajar se niche utar ke KHilqat nahif qadmon pe chal rahi thi
wasia raqbe ka be-nihayat KHatir malba simaT raha tha
zaif tare ki dhonkni se muhib zulmat ubal rahi thi
tawaf karti hawa ka rona mataf mein ghul macha raha tha
haram ke phaTak se bain karti koi sawari nikal rahi thi
waba ki aafat ka taziyana siyah pushton pe paD chuka tha
nigar-KHane ke taqche mein KHabar ki hanDi ubal rahi thi
falak ke koThe pe dekhta hun naya sitara chamak raha hai
zamin pe girne se qabl shayad shua qarnon se chal rahi thi
salam karti hui sahar ka kiwaD chaupaT khula hua tha
falak ka nilam chamak raha tha nadi mein chandi pighal rahi thi
safar ka safha khula to us par fana ka naqsha bana hua tha
hamara nashsha utar chuka tha hamari masti sanbhal rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.