suna hai pyas ki takmil hone wali hai
sunā hai pyaas kī takmīl hone vaalī hai
ye raat ret meñ tabdīl hone vaalī hai
maiñ apnī zaat meñ tahlīl hone vaalā huuñ
dhueñ se jism kī tashkīl hone vaalī hai
fazā meñ chup kī siyāhī ghulī hai aaj kī raat
lahū se hukm kī ta.amīl hone vaalī hai
yahāñ pe ḳhaak uḌegī tamām raat so ab
is iḳhtisār kī tafsīl hone vaalī hai
haiñ kushtagān-e-sadā āḳhirī kināre par
ai ḳhāmushī tirī tarsīl hone vaalī hai
suna hai pyas ki takmil hone wali hai
ye raat ret mein tabdil hone wali hai
main apni zat mein tahlil hone wala hun
dhuen se jism ki tashkil hone wali hai
faza mein chup ki siyahi ghuli hai aaj ki raat
lahu se hukm ki tamil hone wali hai
yahan pe KHak uDegi tamam raat so ab
is iKHtisar ki tafsil hone wali hai
hain kushtagan-e-sada aaKHiri kinare par
ai KHamushi teri tarsil hone wali hai
- Book : Ishq (Pg. 103)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.