Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna hum ko aate jo andar se bahar

Shad Lakhnavi

suna hum ko aate jo andar se bahar

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    sunā ham ko aate jo andar se bāhar

    phire ulTe pairoñ bāhar se bāhar

    kaḌī meñ na de saath yār-e-dilī tak

    sharar choT khā kar ho patthar se bāhar

    yūñhī kal-adam ham miyān-e-lahad the

    miTāyā nishāñ us pe Thokar se bāhar

    na kar harza-gardī jo zī-ābrū hai

    nikaltā nahīñ aa.ina ghar se bāhar

    jināñ se huī muddat aadam ko nikle

    vatan se huuñ maiñ zindagī-bhar se bāhar

    vo mahrūm-e-daulat huuñ bargashta qismat

    uḌe ḳhaak ghar meñ jo barse bāhar

    miTe gardish-e-baḳht kyā lāġharoñ

    na ho kāh-e-girdāb chakkar se bāhar

    laḌāte jo ho 'shād' se ghar meñ āñkheñ

    nazar Daalo ham par bhī tevar se bāhar

    suna hum ko aate jo andar se bahar

    phire ulTe pairon bahar se bahar

    kaDi mein na de sath yar-e-dili tak

    sharar choT kha kar ho patthar se bahar

    yunhi kal-adam hum miyan-e-lahad the

    miTaya nishan us pe Thokar se bahar

    na kar harza-gardi jo zi-abru hai

    nikalta nahin aaina ghar se bahar

    jinan se hui muddat aadam ko nikle

    watan se hun main zindagi-bhar se bahar

    wo mahrum-e-daulat hun bargashta qismat

    uDe KHak ghar mein jo hu barse bahar

    miTe gardish-e-baKHt kya lagharon ki

    na ho kah-e-girdab chakkar se bahar

    laDate jo ho 'shad' se ghar mein aankhen

    nazar Dalo hum par bhi tewar se bahar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now