sunahre KHwab aankhon mein buna karte the hum donon
sunahre ḳhvāb āñkhoñ meñ bunā karte the ham donoñ
parindoñ kī tarah din bhar uḌā karte the ham donoñ
ilāhī zindagī yūñhī mohabbat meñ guzar jaa.e
namāz-e-fajr paḌh kar ye duā karte the ham donoñ
hamesha ThanDī ho jaatī thī chaa.e bātoñ bātoñ meñ
vo bāteñ jo in āñkhoñ se kiyā karte the ham donoñ
guzar jaatā thā saarā din ikaTThe sīpiyāñ chunte
samundar ke kināre par rahā karte the ham donoñ
havā ke ek jhoñke se laraz jaate darīchoñ meñ
charāġhoñ kī tarah shab bhar jalā karte the ham donoñ
mohabbat meñ kaThin raste bahut āsān lagte the
pahāḌoñ par suhūlat se chaḌhā karte the ham donoñ
'hasan' rusvā.ī kā ḳhadsha kabhī dil meñ nahīñ aayā
ḳhayāloñ aur ḳhvāboñ meñ milā karte the ham donoñ
sunahre KHwab aankhon mein buna karte the hum donon
parindon ki tarah din bhar uDa karte the hum donon
ilahi zindagi yunhi mohabbat mein guzar jae
namaz-e-fajr paDh kar ye dua karte the hum donon
hamesha ThanDi ho jati thi chae baaton baaton mein
wo baaten jo in aankhon se kiya karte the hum donon
guzar jata tha sara din ikaTThe sipiyan chunte
samundar ke kinare par raha karte the hum donon
hawa ke ek jhonke se laraz jate darichon mein
charaghon ki tarah shab bhar jala karte the hum donon
mohabbat mein kaThin raste bahut aasan lagte the
pahaDon par suhulat se chaDha karte the hum donon
'hasan' ruswai ka KHadsha kabhi dil mein nahin aaya
KHayalon aur KHwabon mein mila karte the hum donon
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 26.04.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.