sunahre sunahre paron wale baadal
sunahre sunahre paroñ vaale bādal
khule gesūoñ kī mahak le uḌeñge
kabhī sabz sāvan kabhī zard jaaḌe
daraḳhtoñ ke kapḌe badalte raheñge
jinheñ raushnī kā badan oḌhnā hai
vo kohre kī chādar lapeTe mileñge
vasīla hai insān rāziq ḳhudā hai
jo dar band hoñge darīche khuleñge
azal se abad tak safar hī safar hai
musāfir haiñ sab log chalte raheñge
sunahre sunahre paron wale baadal
khule gesuon ki mahak le uDenge
kabhi sabz sawan kabhi zard jaDe
daraKHton ke kapDe badalte rahenge
jinhen raushni ka badan oDhna hai
wo kohre ki chadar lapeTe milenge
wasila hai insan raaziq KHuda hai
jo dar band honge dariche khulenge
azal se abad tak safar hi safar hai
musafir hain sab log chalte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.