sunahri dhup se chehra nikhaar leti hun
sunahrī dhuup se chehra nikhār letī huuñ
udāsiyoñ meñ bhī ḳhud ko sañvār letī huuñ
mire vajūd ke andar hai ik qadīm makān
jahāñ se maiñ ye udāsī udhār letī huuñ
kabhī kabhī mujhe ḳhud par yaqīñ nahīñ hotā
kabhī kabhī maiñ ḳhudā ko pukār letī huuñ
janam janam kī thakāvaT hai mere siine meñ
jise maiñ apne suḳhan meñ utaar letī huuñ
maiñ ab bhī yaad to kartī huuñ āsima us ko
usī kā ġham hai jise maiñ sahār letī huuñ
sunahri dhup se chehra nikhaar leti hun
udasiyon mein bhi KHud ko sanwar leti hun
mere wajud ke andar hai ek qadim makan
jahan se main ye udasi udhaar leti hun
kabhi kabhi mujhe KHud par yaqin nahin hota
kabhi kabhi main KHuda ko pukar leti hun
janam janam ki thakawaT hai mere sine mein
jise main apne suKHan mein utar leti hun
main ab bhi yaad to karti hun aasima us ko
usi ka gham hai jise main sahaar leti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.