suniye ai jaan kabhi asir ki arz
suniye ai jaañ kabhī asiir kī arz
apne kūche ke jā pazīr kī arz
chhid gayā dil zabāñ talak aate
ham ne jab kī nigah ke tiir kī arz
us ghaḌī khilkhilā ke hañs diije
hai yahī ab to kohna piir kī arz
jab to us gul-badan shakar-lab ne
yuuñ kahā sun ke is haqīr kī arz
ab talak dhun hai husn-e-dandāñ kī
dekh is pople 'nazīr' kī arz
suniye ai jaan kabhi asir ki arz
apne kuche ke ja pazir ki arz
chhid gaya dil zaban talak aate
hum ne jab ki nigah ke tir ki arz
us ghaDi khilkhila ke hans dije
hai yahi ab to kohna pir ki arz
jab to us gul-badan shakar-lab ne
yun kaha sun ke is haqir ki arz
ab talak dhun hai husn-e-dandan ki
dekh is pople 'nazir' ki arz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.