sunta hai mere ham-nashin kahti hai ye bahaar kya
suntā hai mere ham-nashīñ kahtī hai ye bahār kyā
phūloñ se dostī na kar phūloñ kā e'tibār kyā
bāzī-e-dil kī maat par baḌh ga.e aur hausle
husn kī jiit jiit kyā ishq kī haar haar kyā
husn pe naaz kījiye aap magar na bhūliye
husn to chaḌhtī dhuup hai dhuup kā e'tibār kyā
de ke chaman ko apnā ḳhuuñ māñgtā kab huuñ ḳhūñ-bahā
maiñ huuñ bahār ke liye mere liye bahār kyā
lazzat-e-intizār meñ kho ga.e ham to ai 'nadīm'
apnā bhī intizār hai un kā hī intizār kyā
dil meñ hai anvar aaj bhī ātish-e-ġham se raushnī
miltī hai is maqām par sarhad-e-nūr-o-nār kyā
sunta hai mere ham-nashin kahti hai ye bahaar kya
phulon se dosti na kar phulon ka e'tibar kya
bazi-e-dil ki mat par baDh gae aur hausle
husn ki jit jit kya ishq ki haar haar kya
husn pe naz kijiye aap magar na bhuliye
husn to chaDhti dhup hai dhup ka e'tibar kya
de ke chaman ko apna KHun mangta kab hun KHun-baha
main hun bahaar ke liye mere liye bahaar kya
lazzat-e-intizar mein kho gae hum to ai 'nadim'
apna bhi intizar hai un ka hi intizar kya
dil mein hai anwar aaj bhi aatish-e-gham se raushni
milti hai is maqam par sarhad-e-nur-o-nar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.