suragh mujhse milega na raunaq-e-shab ka
surāġh mujh se milegā na raunaq-e-shab kā
charāġh to huuñ magar bujh chukā huuñ maiñ kab kā
kahūñ zamīn to vo āsmāñ samajhtā hai
kabhī khulā hī nahīñ aadmī hai kis Dhab kā
ajiib Dhañg se thī justajū-e-zīst mujhe
piyāla jaise koī tishna garmi-e-lab kā
ḳhayāl-e-yār ke parde meñ ranj-e-duniyā thā
sunā gayā hai kuchh aisā hī qissa ham sab kā
uThe jo mahfil-e-duniyā se to huā ma.alūm
ki dāġhdār hai dāman yahāñ to ham sab kā
kiyā hai jis ne mujhe dar-ba-dar vo 'ġhāfil' hai
ki maiñ varaq huuñ isī ālam-e-murattab kā
suragh mujh se milega na raunaq-e-shab ka
charagh to hun magar bujh chuka hun main kab ka
kahun zamin to wo aasman samajhta hai
kabhi khula hi nahin aadmi hai kis Dhab ka
ajib Dhang se thi justaju-e-zist mujhe
piyala jaise koi tishna garmi-e-lab ka
KHayal-e-yar ke parde mein ranj-e-duniya tha
suna gaya hai kuchh aisa hi qissa hum sab ka
uThe jo mahfil-e-duniya se to hua malum
ki daghdar hai daman yahan to hum sab ka
kiya hai jis ne mujhe dar-ba-dar wo 'ghafil' hai
ki main waraq hun isi aalam-e-murattab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.