Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin

Wamiq Jaunpuri

surKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    surḳh dāman meñ shafaq ke koī taarā to nahīñ

    ham ko mustaqbil-e-zarrīñ ne pukārā to nahīñ

    dast o shal haiñ kināre se lagā baiThā huuñ

    lekin is shorish-e-tūfān se haarā to nahīñ

    is ġham-e-dost ne kyā kuchh na sitam Dhaa.e magar

    ġham-e-daurāñ tarah jaan se maarā to nahīñ

    dukh bhare gītoñ se māmūr hai kyuuñ barbat-e-jāñ

    is meñ kuchh gursana nazroñ ishārā to nahīñ

    ashk jo de na uThe lau sar-e-mizhgāñ aa kar

    sirf ik qatra-e-shabnam hai sharāra to nahīñ

    ik ujālā jhalaktā hai pas-e-parda-e-shab

    chashm-e-be-ḳhvāb meñ larzāñ koī taarā to nahīñ

    kitnī ummīdoñ pe jiitā rahā 'vāmiq' ab tak

    ab magar ik yahī jiine sahārā to nahīñ

    surKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin

    hum ko mustaqbil-e-zarrin ne pukara to nahin

    dast o pa shal hain kinare se laga baiTha hun

    lekin is shorish-e-tufan se haara to nahin

    is gham-e-dost ne kya kuchh na sitam Dhae magar

    gham-e-dauran ki tarah jaan se mara to nahin

    dukh bhare giton se mamur hai kyun barbat-e-jaan

    is mein kuchh gursana nazron ka ishaara to nahin

    ashk jo de na uThe lau sar-e-mizhgan aa kar

    sirf ek qatra-e-shabnam hai sharara to nahin

    ek ujala sa jhalakta hai pas-e-parda-e-shab

    chashm-e-be-KHwab mein larzan koi tara to nahin

    kitni ummidon pe jita raha 'wamiq' ab tak

    ab magar ek yahi jine ka sahaara to nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    surKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    surKH daman mein shafaq ke koi tara to nahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now