surKH the KHun se os ke qatre
surḳh the ḳhuuñ se os ke qatre
phuul kī pankhuḌī pe jab chhiTke
phir tire husn ke shagūfe khile
chāñdnī mahkī rang se chhalke
phir nigāhoñ meñ chhā ga.ī mastī
phir ghaTā uTThī zulf ko khole
ḳhvāb the tere kis qadar rangīñ
ḳhalvat-e-shab meñ phuul se barse
tū shabistāñ meñ mast sotī rahī
chāñdnī le ga.ī tire bose
bijliyoñ se sajī suhāg kī raat
tābish-e-husn se jale sehre
pī liyā aaj zahr-e-ġham ham ne
bujh ga.e aaj āñsuoñ ke diye
surKH the KHun se os ke qatre
phul ki pankhuDi pe jab chhiTke
phir tere husn ke shagufe khile
chandni mahki rang se chhalke
phir nigahon mein chha gai masti
phir ghaTa uTThi zulf ko khole
KHwab the tere kis qadar rangin
KHalwat-e-shab mein phul se barse
tu shabistan mein mast soti rahi
chandni le gai tere bose
bijliyon se saji suhag ki raat
tabish-e-husn se jale sehre
pi liya aaj zahr-e-gham hum ne
bujh gae aaj aansuon ke diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.