surma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai
surma-e-muft-e-nazar huuñ mirī qīmat ye hai
ki rahe chashm-e-ḳharīdār pe ehsāñ merā
ruḳhsat-e-nāla mujhe de ki mabādā zālim
tere chehre se ho zāhir ġham-e-pinhāñ merā
ḳhalvat-e-ābila-e-pā meñ hai jaulāñ merā
ḳhuuñ hai dil tañgī-e-vahshat se bayābāñ merā
hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil hai
arz-e-ḳhamiyāza-e-majnūñ hai garebāñ merā
fahm zanjīrī-e-be-rabtī-e-dil hai yā-rab
kis zabāñ meñ hai laqab ḳhvāb-e-pareshāñ merā
surma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai
ki rahe chashm-e-KHaridar pe ehsan mera
ruKHsat-e-nala mujhe de ki mabaada zalim
tere chehre se ho zahir gham-e-pinhan mera
KHalwat-e-abila-e-pa mein hai jaulan mera
KHun hai dil tangi-e-wahshat se bayaban mera
hasrat-e-nashsha-e-wahshat na ba-sai-e-dil hai
arz-e-KHamiyaza-e-majnun hai gareban mera
fahm zanjiri-e-be-rabti-e-dil hai ya-rab
kis zaban mein hai laqab KHwab-e-pareshan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.