surmai sham hai mausam hai suhana aana
surma.ī shaam hai mausam hai suhānā aanā
is se pahle ki maiñ ho jā.ūñ fasāna aanā
mujh se pahle hī ka.ī log ḳhafā rahte haiñ
mujh se jal jaa.e zarā aur zamāna aanā
ik tirā husn gulāboñ sā ġhazal sūrat hai
ik ye sāvan kā mahīna hai suhānā aanā
roz kahte ho mujhe aaj to ye hai vo hai
aaj duniyā se koī kar ke bahāna aanā
āḳhirī jang maiñ laḌne ke liye niklā huuñ
phir rahe yā na rahe terā divāna aanā
log kahte haiñ tujhe bhuul ke bhī zinda rahūñ
maiñ ne pūchhā thā magar dil nahīñ maanā aanā
log to log haiñ jo chāhe vo kah sakte haiñ
tū to merā hai mire dil ko dukhā nā aanā
tū bhī shamshīr-e-badan mast-adā tīr-e-nigāh
maiñ bhī baiThā huuñ ki ho jā.ūñ nishāna aanā
dushman-e-jān samajhtā hai ki tanhā huuñ maiñ
maiñ ne dushman ko batānā hai ki nā nā aanā
muskurātā huuñ magar Dar hai kisī mahfil meñ
ashk āñkhoñ se na ho jaa.eñ ravāna aanā
vo jo ma.asūm sā shā'ir hai 'mubārak' 'ahmad'
us kā duniyā meñ faqat tū hai ḳhazāna aanā
surmai sham hai mausam hai suhana aana
is se pahle ki main ho jaun fasana aana
mujh se pahle hi kai log KHafa rahte hain
mujh se jal jae zara aur zamana aana
ek tera husn gulabon sa ghazal surat hai
ek ye sawan ka mahina hai suhana aana
roz kahte ho mujhe aaj to ye hai wo hai
aaj duniya se koi kar ke bahana aana
aaKHiri jang main laDne ke liye nikla hun
phir rahe ya na rahe tera diwana aana
log kahte hain tujhe bhul ke bhi zinda rahun
main ne puchha tha magar dil nahin mana aana
log to log hain jo chahe wo kah sakte hain
tu to mera hai mere dil ko dukha na aana
tu bhi shamshir-e-badan mast-ada tir-e-nigah
main bhi baiTha hun ki ho jaun nishana aana
dushman-e-jaan samajhta hai ki tanha hun main
main ne dushman ko batana hai ki na na aana
muskuraata hun magar Dar hai kisi mahfil mein
ashk aankhon se na ho jaen rawana aana
wo jo masum sa sha'ir hai 'mubarak' 'ahmad'
us ka duniya mein faqat tu hai KHazana aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.