su-e-kalkatta jo hum ba-dil-e-diwana chale
sū-e-kalkatta jo ham ba-dil-e-dīvāna chale
gungunāte hue ik shoḳh kā afsāna chale
shahr-e-salmā hai sar-e-rāh ghaTā.eñ hamrāh
sāqiyā aaj to daur-e-mai-o-paimāna chale
is tarah rail ke hamrāh ravāñ hai bādal
saath jaise koī uḌtā huā mai-ḳhāna chale
shahr-e-jānāñ meñ utarne kī thī ham par qadġhan
yuuñ chale jaise koī shahr se begāna chale
garche tanhā the magar un ke tasavvur ke nisār
apne ham-rāh liye ek parī-ḳhāna chale
khel ummīd ke dekho ki na kī un ko ḳhabar
phir bhī ham muntazir-e-jalva-e-jānāna chale
un kā paiġhām na laa.e hoñ ye rañgīñ bādal
varna kyuuñ saath mire be-ḳhud o mastāna chale
ghar se ba-ishrat-e-shāhāna ham aa.e the magar
un ke kūche se chale jab to faqīrāna chale
bādalo ḳhidmat-e-salmā meñ ye kah do jā kar
ki tire shahr meñ ham aa ke ġharībāna chale
hasrat o shauq ke aalam meñ chale yuuñ 'aḳhtar'
muskurātā huā jaise koī dīvāna chale
su-e-kalkatta jo hum ba-dil-e-diwana chale
gungunate hue ek shoKH ka afsana chale
shahr-e-salma hai sar-e-rah ghaTaen hamrah
saqiya aaj to daur-e-mai-o-paimana chale
is tarah rail ke hamrah rawan hai baadal
sath jaise koi uDta hua mai-KHana chale
shahr-e-jaanan mein utarne ki thi hum par qadghan
yun chale jaise koi shahr se begana chale
garche tanha the magar un ke tasawwur ke nisar
apne ham-rah liye ek pari-KHana chale
khel ummid ke dekho ki na ki un ko KHabar
phir bhi hum muntazir-e-jalwa-e-jaanana chale
un ka paigham na lae hon ye rangin baadal
warna kyun sath mere be-KHud o mastana chale
ghar se ba-ishrat-e-shahana hum aae the magar
un ke kuche se chale jab to faqirana chale
baadalo KHidmat-e-salma mein ye kah do ja kar
ki tere shahr mein hum aa ke gharibana chale
hasrat o shauq ke aalam mein chale yun 'aKHtar'
muskuraata hua jaise koi diwana chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.