su-e-maqtal koi dam sath chale
sū-e-maqtal koī dam saath chale
jis ko rakhnā ho bharam saath chale
isī hasrat meñ kaTī rāh-e-hayāt
koī do-chār qadam saath chale
ḳhār-zāroñ meñ jahāñ koī na thā
ban ke ham-dam tire ġham saath chale
ham se rindoñ kā Thikānā kyā hai
tum kahāñ shaiḳh-e-haram saath chale
vādī-e-shab kī kaThin rāhoñ meñ
log katrā ga.e kam saath chale
su-e-maqtal koi dam sath chale
jis ko rakhna ho bharam sath chale
isi hasrat mein kaTi rah-e-hayat
koi do-chaar qadam sath chale
KHar-zaron mein jahan koi na tha
ban ke ham-dam tere gham sath chale
hum se rindon ka Thikana kya hai
tum kahan shaiKH-e-haram sath chale
wadi-e-shab ki kaThin rahon mein
log katra gae kam sath chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.