sufi-e-shahr mere haq mein dua kya karta
sūfī-e-shahr mire haq meñ duā kyā kartā
ḳhud thā muhtāj-e-atā mujh ko atā kyā kartā
apnī āvāz ke sannāTe se hol aatā hai
maiñ bayābān-e-tamannā meñ sadā kyā kartā
saañs lete hue siine meñ jalan hotī hai
maiñ tire shahr kī shādāb fazā kyā kartā
is fazā meñ to farishtoñ ke bhī par jalte haiñ
maiñ yahāñ jur.at-e-parvāz bhalā kyā kartā
mohtasib jurm mirā dekh ke ḳhāmosh rahā
ḳhud ḳhatā-kār thā ahkām-e-sazā kyā kartā
tum ne to chhīn lī mujh se mirī goyā.ī bhī
maiñ to ik kāġhaz-e-ātish-zada thā kyā kartā
sufi-e-shahr mere haq mein dua kya karta
KHud tha muhtaj-e-ata mujh ko ata kya karta
apni aawaz ke sannaTe se hol aata hai
main bayaban-e-tamanna mein sada kya karta
sans lete hue sine mein jalan hoti hai
main tere shahr ki shadab faza kya karta
is faza mein to farishton ke bhi par jalte hain
main yahan jurat-e-parwaz bhala kya karta
mohtasib jurm mera dekh ke KHamosh raha
KHud KHata-kar tha ahkaam-e-saza kya karta
tum ne to chhin li mujh se meri goyai bhi
main to ek kaghaz-e-atish-zada tha kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.