sukhe hue honTon ko bhigone mein laga hun
sūkhe hue hoñToñ ko bhigone meñ lagā huuñ
sairāb haiñ sab aur maiñ rone meñ lagā huuñ
ik roz mirā qatl huā thā mire hāthoñ
phailā huā ḳhuun apnā maiñ dhone meñ lagā huuñ
ik bār-e-garāñ hai mire kāñdhe pe ki sar hai
maiñ ab bhī isī bojh ko Dhone meñ lagā huuñ
is baar to tum bhī mujhe paane meñ lage ho
is baar to maiñ bhī tumheñ khone meñ lagā huuñ
sukhe hue honTon ko bhigone mein laga hun
sairab hain sab aur main rone mein laga hun
ek roz mera qatl hua tha mere hathon
phaila hua KHun apna main dhone mein laga hun
ek bar-e-garan hai mere kandhe pe ki sar hai
main ab bhi isi bojh ko Dhone mein laga hun
is bar to tum bhi mujhe pane mein lage ho
is bar to main bhi tumhein khone mein laga hun
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 91)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 86)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.