suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein
suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein
Kaif Ahmed Siddiqui
MORE BYKaif Ahmed Siddiqui
sūraj āñkheñ khol rahā hai sūkhe hue daraḳhtoñ meñ
saa.e raakh bane jaate haiñ jiite hue daraḳhtoñ meñ
aaj kuchh aise sho.ale bhaḌke bārish ke har qatre se
dhuup panāheñ maañg rahī hai bhīge hue daraḳhtoñ meñ
ḳhāmoshī bhī ḳhauf-zada hai āsebī āvāzoñ se
sannāTe bhī kaañp rahe haiñ sahme hue daraḳhtoñ meñ
tanhā.ī kī dulhan apnī maañg sajā.e baiThī hai
vīrānī ābād huī hai ujḌe hue daraḳhtoñ meñ
aaj to saare baaġh meñ ḳhvāb-e-marg kā nashsha taarī hai
lekin koī jaag rahā hai so.e hue daraḳhtoñ meñ
kaun musībat ke aam meñ saath kisī kā detā hai
chand parinde chīḳh rahe haiñ girte hue daraḳhtoñ meñ
suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein
sae rakh bane jate hain jite hue daraKHton mein
aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se
dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein
KHamoshi bhi KHauf-zada hai aasebi aawazon se
sannaTe bhi kanp rahe hain sahme hue daraKHton mein
tanhai ki dulhan apni mang sajae baiThi hai
virani aabaad hui hai ujDe hue daraKHton mein
aaj to sare bagh mein KHwab-e-marg ka nashsha tari hai
lekin koi jag raha hai soe hue daraKHton mein
kaun musibat ke aam mein sath kisi ka deta hai
chand parinde chiKH rahe hain girte hue daraKHton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.