suraj aur mahtab bikharte jate hain
sūraj aur mahtāb bikharte jaate haiñ
jiine ke asbāb bikharte jaate haiñ
atlas aur kam-ḳhvāb bikharte jaate haiñ
goyā ki ahbāb bikharte jaate haiñ
qatra qatra niiñd pighaltī rahtī hai
reza reza ḳhvāb bikharte jaate haiñ
daldal itnī phail ga.ī hai raste meñ
ab to sab a.asāb bikharte jaate haiñ
ik ambār-e-āb-o-gil hai ye paikar
haale aur gardāb bikharte jaate haiñ
suraj aur mahtab bikharte jate hain
jine ke asbab bikharte jate hain
atlas aur kam-KHwab bikharte jate hain
goya ki ahbab bikharte jate hain
qatra qatra nind pighalti rahti hai
reza reza KHwab bikharte jate hain
daldal itni phail gai hai raste mein
ab to sab aasab bikharte jate hain
ek ambar-e-ab-o-gil hai ye paikar
haale aur gardab bikharte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.