Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj baghair saya-e-ashjar kis liye

Munawwar Tabish Sambhali

suraj baghair saya-e-ashjar kis liye

Munawwar Tabish Sambhali

MORE BYMunawwar Tabish Sambhali

    sūraj baġhair sāya-e-ashjār kis liye

    yūsuf nahīñ to misr bāzār kis liye

    ye to fareb denā hai ḳhud apne aap ko

    'izzat nahīñ to jubba-o-dastār kis liye

    taqsīm dil hue haiñ havelī ke naam par

    varna uThī hai sahn meñ dīvār kis liye

    jab husn ghar se chal diyā bāzār taraf

    bigḌe na ab zamāne raftār kis liye

    saarā nizām aap jab dastaras meñ hai

    mahrūm haq se ho ga.e haqdār kis liye

    suraj baghair saya-e-ashjar kis liye

    yusuf nahin to misr ka bazar kis liye

    ye to fareb dena hai KHud apne aap ko

    'izzat nahin to jubba-o-dastar kis liye

    taqsim dil hue hain haweli ke nam par

    warna uThi hai sahn mein diwar kis liye

    jab husn ghar se chal diya bazar ki taraf

    bigDe na ab zamane ki raftar kis liye

    sara nizam aap ki jab dastaras mein hai

    mahrum haq se ho gae haqdar kis liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now