suraj Duba nikla chand
sūraj Duubā niklā chāñd
chhat par aayā merā chāñd
iid kā sab ne dekhā chāñd
ham ne dekhā apnā chāñd
dīvāne be-tāb hue
jab parde se jhāñkā chāñd
us kā dushman koī nahīñ
sab ke liye hai pyārā chāñd
ahd-e-javānī meñ aksar
hotā hai sharmīlā chāñd
dekhte hī us kā chehra
bādal meñ chhup jaatā chāñd
aap ke āñgan meñ 'ahmar'
pichhlī shab kyoñ aayā chāñd
suraj Duba nikla chand
chhat par aaya mera chand
id ka sab ne dekha chand
hum ne dekha apna chand
diwane be-tab hue
jab parde se jhanka chand
us ka dushman koi nahin
sab ke liye hai pyara chand
ahd-e-jawani mein aksar
hota hai sharmila chand
dekhte hi us ka chehra
baadal mein chhup jata chand
aap ke aangan mein 'ahmar'
pichhli shab kyon aaya chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.