suraj ki tarah saya-e-diwar mein aaya
sūraj kī tarah sāya-e-dīvār meñ aayā
vo shaḳhs mire halqa-e-me.ār meñ aayā
be-sāḳhta khulte ga.e palkoñ pe sitāre
vo mausam-e-zarḳhez shab-e-tār meñ aayā
kal raat bhī gul-rang huā thā koī bistar
ye zikr na.ī tarah se aḳhbār meñ aayā
ik yaad se Duubī huī har nabz phir ubhrī
Thahrāv sā phir saañs kī raftār meñ aayā
kuchh der jhukī palkoñ ke saa.e meñ rahā phir
vo rang-e-hayā āriz-o-ruḳhsār meñ aayā
jab shahr-e-tamannā kā sukūñ raas na aayā
ghar lauT ke maiñ shiddat-e-afkār meñ aayā
'shahzād' maiñ har ma.arka jab haar ke baiThā
tab josh balā kā dil-e-ḳhuddār meñ aayā
suraj ki tarah saya-e-diwar mein aaya
wo shaKHs mere halqa-e-mear mein aaya
be-saKHta khulte gae palkon pe sitare
wo mausam-e-zarKHez shab-e-tar mein aaya
kal raat bhi gul-rang hua tha koi bistar
ye zikr nai tarah se aKHbar mein aaya
ek yaad se Dubi hui har nabz phir ubhri
Thahraw sa phir sans ki raftar mein aaya
kuchh der jhuki palkon ke sae mein raha phir
wo rang-e-haya aariz-o-ruKHsar mein aaya
jab shahr-e-tamanna ka sukun ras na aaya
ghar lauT ke main shiddat-e-afkar mein aaya
'shahzad' main har marka jab haar ke baiTha
tab josh bala ka dil-e-KHuddar mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.