suraj ne ek nazar mere zaKHmon pe Dal ke
sūraj ne ik nazar mire zaḳhmoñ pe Daal ke
dekhā hai mujh ko khiḌkī se phir sar nikāl ke
rakhte hī paañv ghūmtī chakrātī raah ne
pheñkā hai mujh ko duur ḳhalā meñ uchhāl ke
kyā ḳhvāhisheñ zamīn ke nīche dabī rahīñ
ġhāroñ se kuchh mujassame nikle visāl ke
chhan chhan ke aa rahī ho guphāoñ meñ raushnī
tan par vahī libās hoñ peḌoñ kī chhāl ke
rañgoñ kī rau hai 'zeb' ki gardish meñ hai mudām
be-shakl-o-jism ubhre haiñ paikar ḳhayāl ke
suraj ne ek nazar mere zaKHmon pe Dal ke
dekha hai mujh ko khiDki se phir sar nikal ke
rakhte hi panw ghumti chakraati rah ne
phenka hai mujh ko dur KHala mein uchhaal ke
kya KHwahishen zamin ke niche dabi rahin
ghaaron se kuchh mujassame nikle visal ke
chhan chhan ke aa rahi ho guphaon mein raushni
tan par wahi libas hon peDon ki chhaal ke
rangon ki rau hai 'zeb' ki gardish mein hai mudam
be-shakl-o-jism ubhre hain paikar KHayal ke
- Book : zard zarkhez (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.