suraj ne jab shab ka labaada pahan liya tha
sūraj ne jab shab kā labāda pahan liyā thā
har ik shai ne apnā saaya pahan liyā thā
apnā 'uryāñ jism chhupāne kī koshish meñ
tez havā ne pattā pattā pahan liyā thā
mātamī kapḌe pahan liye the merī zamīñ ne
aur falak ne chāñd sitāra pahan liyā thā
saarā shahr sharīk huā thā us ke dukh meñ
jis din us ne ġham kā lamha pahan liyā thā
māyūsī ke 'ālam meñ bhī ai 'ḳhurshīd'
ham ne ik ummīd kā rasta pahan liyā thā
suraj ne jab shab ka labaada pahan liya tha
har ek shai ne apna saya pahan liya tha
apna 'uryan jism chhupane ki koshish mein
tez hawa ne patta patta pahan liya tha
matami kapDe pahan liye the meri zamin ne
aur falak ne chand sitara pahan liya tha
sara shahr sharik hua tha us ke dukh mein
jis din us ne gham ka lamha pahan liya tha
mayusi ke 'alam mein bhi ai 'KHurshid'
hum ne ek ummid ka rasta pahan liya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.