sūraj sar ke uupar hai
qadmoñ meñ apnā sar hai
āñkheñ nam dāman tar hai
dil kī pyaas samundar hai
hangāma sab andar hai
manzar phir bhī manzar hai
chīḳhte dariyāoñ kā junūñ
apnī had se bāhar hai
fitrat kā hai sehr ki dil
ā.īna hai patthar hai
ham bhī ek parinde haiñ
barg-e-shajar apnā ghar hai
izzat shohrat rusvā.ī
jo bhī hai jur.at bhar hai
dil meñ uThe kyā lahr 'ayāz'
ye bhī ḳhushk samundar hai
suraj sar ke upar hai
qadmon mein apna sar hai
aankhen nam daman tar hai
dil ki pyas samundar hai
hangama sab andar hai
manzar phir bhi manzar hai
chiKHte dariyaon ka junun
apni had se bahar hai
fitrat ka hai sehr ki dil
aaina hai patthar hai
hum bhi ek parinde hain
barg-e-shajar apna ghar hai
izzat shohrat ruswai
jo bhi hai jurat bhar hai
dil mein uThe kya lahr 'ayaz'
ye bhi KHushk samundar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.