suraj se bhi aage ka jahan dekh raha hai
sūraj se bhī aage kā jahāñ dekh rahā hai
is daur kā insān kahāñ dekh rahā hai
hālāt ne jis ke sabhī par kaaT diye haiñ
vo aaj bhī manzil kā nishāñ dekh rahā hai
ayyār bahut hai yahāñ taḳhrīb kā mojid
vo barf ke jangal meñ dhuāñ dekh rahā hai
ik roz pakaḌ legā vo qātil kā garebāñ
jo vaqt kī raftār zabāñ dekh rahā hai
sadiyoñ ke ta.alluq kā ye ehsās hai shāyad
sahrā meñ haqīqat ko ayaañ dekh rahā hai
is sar-phire mausam kā bharosa nahīñ 'sāqib'
māhaul kā sab bār-e-garāñ dekh rahā hai
suraj se bhi aage ka jahan dekh raha hai
is daur ka insan kahan dekh raha hai
haalat ne jis ke sabhi par kaT diye hain
wo aaj bhi manzil ka nishan dekh raha hai
ayyar bahut hai yahan taKHrib ka mojid
wo barf ke jangal mein dhuan dekh raha hai
ek roz pakaD lega wo qatil ka gareban
jo waqt ki raftar zaban dekh raha hai
sadiyon ke talluq ka ye ehsas hai shayad
sahra mein haqiqat ko ayan dekh raha hai
is sar-phire mausam ka bharosa nahin 'saqib'
mahaul ka sab bar-e-garan dekh raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.