suraj se kuchh kirnen le kar apna kaam chalata hai
sūraj se kuchh kirneñ le kar apnā kaam chalātā hai
jaane phir kyā baat hai jis par chāñd bahut itrātā hai
us ke saath guzārā maazī ab tak tanhā rātoñ meñ
yādoñ kī sauġhāteñ le kar mujh se milne aatā hai
aksar ḳhvāb meñ dikhne vaale ek purāne manzar meñ
ik jaanā pahchānā chehra duur khaḌā muskāta hai
har gosha hai mahkā-mahkā us kī sauñdhī ḳhushbū se
lagtā hai vo in galiyoñ meñ ab tak aatā jaatā hai
june kī taptī shāmoñ meñ jab bārish ḳhuub barastī hai
bhīgī shāḳh pe baiThā panchhī mīThe giit sunātā hai
hijr kī lambī qaid nibhātā ik dīvāna roz-o-shab
dīvāroñ se bāteñ kar ke apnā jī bahlātā hai
soch rahā huuñ apnā hai yā phir koī begāna hai
vo ik fard 'zakī' jo mujh par itnā haq jatlātā hai
suraj se kuchh kirnen le kar apna kaam chalata hai
jaane phir kya baat hai jis par chand bahut itraata hai
us ke sath guzara mazi ab tak tanha raaton mein
yaadon ki saughaten le kar mujh se milne aata hai
aksar KHwab mein dikhne wale ek purane manzar mein
ek jaana pahchana chehra dur khaDa muskata hai
har gosha hai mahka-mahka us ki saundhi KHushbu se
lagta hai wo in galiyon mein ab tak aata jata hai
june ki tapti shamon mein jab barish KHub barasti hai
bhigi shaKH pe baiTha panchhi miThe git sunata hai
hijr ki lambi qaid nibhata ek diwana roz-o-shab
diwaron se baaten kar ke apna ji bahlata hai
soch raha hun apna hai ya phir koi begana hai
wo ek fard 'zaki' jo mujh par itna haq jatlata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.