suraj surKH disha mein utra
sūraj surḳh dishā meñ utrā
din Duubā dariyā meñ utrā
hotel sabza lawn lab-e-jū
ghirTā abr ghaTā meñ utrā
aT kar gard-e-ma.āsh se ubhre
phaT kar dard duā meñ utrā
shahr-panāh kī galiyāñ jāgīñ
chāñd jo mahal-sarā meñ utrā
so.e oḌh ke maqtal ko ham
dasht-e-balā sahrā meñ utrā
baam pe shaam huī gorī ko
añg kā rañg adā meñ utrā
shāḳh jhukī chehre ke aage
TuuT ke phuul qabā meñ utrā
mare kabhī be-nām hī ham tum
qissa kabhī kathā meñ utrā
dhuup hī dhuup thī is ke mukh par
ruup hī ruup havā meñ utrā
suraj surKH disha mein utra
din Duba dariya mein utra
hotel sabza lawn lab-e-ju
ghirTa abr ghaTa mein utra
aT kar gard-e-maash se ubhre
phaT kar dard dua mein utra
shahr-panah ki galiyan jagin
chand jo mahal-sara mein utra
soe oDh ke maqtal ko hum
dasht-e-bala sahra mein utra
baam pe sham hui gori ko
ang ka rang ada mein utra
shaKH jhuki chehre ke aage
TuT ke phul qaba mein utra
mare kabhi be-nam hi hum tum
qissa kabhi katha mein utra
dhup hi dhup thi is ke mukh par
rup hi rup hawa mein utra
- Book : Ban Baas (Pg. 66)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.