suraj to de diya tha sitara bhi de diya
sūraj to de diyā thā sitāra bhī de diyā
phir ham ne us ko ḳhaak kā ḳhirqa bhī de diyā
aslan to shahr-e-ishq ke me.amār the magar
rab ne dayār-e-dard kā Thekā bhī de diyā
dāman pakaḌ ke pīchhe ye qallāsh thī paḌī
duniyā ko ham ne bhiik kā kaasa bhī de diyā
pagḌī dukān-e-sang-tarāshī kī lī magar
rokan meñ kār-ḳhāna-e-shīsha bhī de diyā
thā hashr ko zamāna-e-mā-qabl-e-hastī kam
so ham ne apnī umr kā arsa bhī de diyā
pahle ukhāḌī ḳhitta-e-dasht-e-junūñ kī baaḌ
phir sar-zamīn-e-ḳhāk kā qabza bhī de diyā
us kī nazar thī haath pe so ham ne is liye
auzār de diye sabhī pesha bhī de diyā
apnī taraf se maiñ ne 'shafaq' ḳhvāb de diye
phir us ke ba.ad aañkh kā surma bhī de diyā
suraj to de diya tha sitara bhi de diya
phir hum ne us ko KHak ka KHirqa bhi de diya
aslan to shahr-e-ishq ke meamar the magar
rab ne dayar-e-dard ka Theka bhi de diya
daman pakaD ke pichhe ye qallash thi paDi
duniya ko hum ne bhik ka kasa bhi de diya
pagDi dukan-e-sang-tarashi ki li magar
rokan mein kar-KHana-e-shisha bhi de diya
tha hashr ko zamana-e-ma-qabl-e-hasti kam
so hum ne apni umr ka arsa bhi de diya
pahle ukhaDi KHitta-e-dasht-e-junun ki baD
phir sar-zamin-e-KHak ka qabza bhi de diya
us ki nazar thi hath pe so hum ne is liye
auzar de diye sabhi pesha bhi de diya
apni taraf se main ne 'shafaq' KHwab de diye
phir us ke baad aankh ka surma bhi de diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.