surat-e-ishq badalta nahin tu bhi main bhi
sūrat-e-ishq badaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ġham kī hiddat se pighaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ab zamāne meñ mohabbat hai tamāshe kī tarah
is tamāshe se bahaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
in sulagtī huī sāñsoñ ko nahīñ dekhte log
aur samajhte haiñ ki jaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
apnā nuqsān barābar kā huā āñdhī meñ
ab kisī shāḳh pe phaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ai samundar tirī phailī huī bāñhoñ kī qasam
apnī maujoñ se nikaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
Dagmagāte haiñ qadam Doltī hai vaqt kī saañs
tār-e-hastī pe sañbhaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
ab vo ġhālib hai na vo ahl-e-karam haiñ 'tauqīr'
'ishq meñ bhes badaltā nahīñ tū bhī maiñ bhī
surat-e-ishq badalta nahin tu bhi main bhi
gham ki hiddat se pighalta nahin tu bhi main bhi
ab zamane mein mohabbat hai tamashe ki tarah
is tamashe se bahalta nahin tu bhi main bhi
in sulagti hui sanson ko nahin dekhte log
aur samajhte hain ki jalta nahin tu bhi main bhi
apna nuqsan barabar ka hua aandhi mein
ab kisi shaKH pe phalta nahin tu bhi main bhi
ai samundar teri phaili hui banhon ki qasam
apni maujon se nikalta nahin tu bhi main bhi
Dagmagate hain qadam Dolti hai waqt ki sans
tar-e-hasti pe sanbhalta nahin tu bhi main bhi
ab wo ghaalib hai na wo ahl-e-karam hain 'tauqir'
'ishq mein bhes badalta nahin tu bhi main bhi
- Book : Anaa-ul-Ishq (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.