surat-e-zanjir mauj-e-KHun mein ek aahang hai
sūrat-e-zanjīr mauj-e-ḳhūñ meñ ik āhang hai
āgahī kī had pe ik ḳhvāb-e-junūñ kī jang hai
jaane kin chehroñ kī lau thī jaane kis manzar kī aag
niiñd kā resham dhuāñ hai ḳhvāb sho.ala-rañg hai
ik junūñ-ḳhāne meñ ḳhud ko DhūñDhtā hai aadmī
ḳhud-tavāfī meñ bhī ḳhud se saiñkaḌoñ farsañg hai
kirm-ḳhurda kashtiyāñ bīnā.ī kī haiñ tah-nashīñ
nam havā se ustaḳhvānoñ meñ utartā rang hai
aag ko gulzār kar de us du'ā kā vaqt hai
varna ḳhū-e-ādmiyyat aadmī par tang hai
bū-e-gul ruḳhsat huī shāyad ye ho ḳhatm-e-bahār
TūTtī lai meñ bikhartī saut-e-shab-āhañg hai
ek markaz par zideñ yakjā haiñ aur gardish meñ haiñ
ye zamāne kā taġhayyur 'ālam-e-nairang hai
surat-e-zanjir mauj-e-KHun mein ek aahang hai
aagahi ki had pe ek KHwab-e-junun ki jang hai
jaane kin chehron ki lau thi jaane kis manzar ki aag
nind ka resham dhuan hai KHwab shoala-rang hai
ek junun-KHane mein KHud ko DhunDhta hai aadmi
KHud-tawafi mein bhi KHud se sainkaDon farsang hai
kirm-KHurda kashtiyan binai ki hain tah-nashin
nam hawa se ustaKHwanon mein utarta rang hai
aag ko gulzar kar de us du'a ka waqt hai
warna KHu-e-admiyyat aadmi par tang hai
bu-e-gul ruKHsat hui shayad ye ho KHatm-e-bahaar
TuTti lai mein bikharti saut-e-shab-ahang hai
ek markaz par ziden yakja hain aur gardish mein hain
ye zamane ka taghayyur 'alam-e-nairang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.