surat ka apni yar parastar tha so hai
sūrat kā apnī yaar parastār thā so hai
ā.īna dil us ko jo darkār thā so hai
ye dil hai teġh-e-abru-e-ḳhamdār kā shahīd
is kā gavāh dīda-e-ḳhamdār thā so hai
mālik hai mere dil kā ḳhudā tujh se ai sanam
paivasta bandagī kā jo iqrār thā so hai
zāhir meñ garche kufr se munkir huā hai shaiḳh
poshīda us kī sub.ha meñ zunnār thā so hai
tujh ḳhat kī yaad meñ dil-e-hairān-e-ishq kā
durr-e-najaf kī tarah se mūdār thā so hai
surat ka apni yar parastar tha so hai
aaina dil us ko jo darkar tha so hai
ye dil hai tegh-e-abru-e-KHamdar ka shahid
is ka gawah dida-e-KHamdar tha so hai
malik hai mere dil ka KHuda tujh se ai sanam
paiwasta bandagi ka jo iqrar tha so hai
zahir mein garche kufr se munkir hua hai shaiKH
poshida us ki subha mein zunnar tha so hai
tujh KHat ki yaad mein dil-e-hairan-e-ishq ka
durr-e-najaf ki tarah se mudar tha so hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.