surat kisi ki dekhni qismat mein thi kahan
sūrat kisī kī dekhnī qismat meñ thī kahāñ
TuuTā hai merā ā.ina-e-zindagī kahāñ
raushan hayāt hogī na jaane mirī kahāñ
ġham baḳhshtī hai dekhiye chal kar ḳhushī kahāñ
har ek saañs hai jahāñ tauhīn-e-zindagī
ye le kar aa ga.ī hai mujhe zindagī kahāñ
shāyad fareb-e-sāhil-e-duniyā meñ aa ga.ī
ye kashtī-e-hayāt mirī ruk ga.ī kahāñ
kaliyāñ sisak ke rah ga.iiñ gul kasmasā ga.e
tum ne bhī aa ke rokī hai apnī hañsī kahāñ
ai bekasī-e-ishq zarā baḌh ke dekhnā
aage ye mujh se zindagī merī chalī kahāñ
ruktī hai dekho gardish-e-ālam kidhar 'shifā'
letī hai saañs ab ye mirī zindagī kahāñ
surat kisi ki dekhni qismat mein thi kahan
TuTa hai mera aaina-e-zindagi kahan
raushan hayat hogi na jaane meri kahan
gham baKHshti hai dekhiye chal kar KHushi kahan
har ek sans hai jahan tauhin-e-zindagi
ye le kar aa gai hai mujhe zindagi kahan
shayad fareb-e-sahil-e-duniya mein aa gai
ye kashti-e-hayat meri ruk gai kahan
kaliyan sisak ke rah gain gul kasmasa gae
tum ne bhi aa ke roki hai apni hansi kahan
ai bekasi-e-ishq zara baDh ke dekhna
aage ye mujh se zindagi meri chali kahan
rukti hai dekho gardish-e-alam kidhar 'shifa'
leti hai sans ab ye meri zindagi kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.