surat koi qarar ki din-raat mein nahin
sūrat koī qarār kī din-rāt meñ nahīñ
ye chiiz vo hai jo mire auqāt meñ nahīñ
kahte haiñ uzr ham ko mulāqāt meñ nahīñ
ham tujh se muttafiq magar ik baat meñ nahīñ
vo fasl kaun sī hai jo raas aa.egī hameñ
taskīñ bahār meñ nahīñ barsāt meñ nahīñ
uqbā kā kuchh to ai dil-e-nādāñ rahe ḳhayāl
kyā tujh ko vahm hai ki ajal ghaat meñ nahīñ
āzād qaid-o-band se haiñ aaj ahl-e-fan
pāband ya.anī koī kisī baat meñ nahīñ
jo jis ke jī meñ aa.e likhe aur chhāp de
kuchh farq sher aur ḳhurāfāt meñ nahīñ
parhez-gār bhī use hargiz na jāniye
'mahrūm' agarche ahl-e-ḳharābāt meñ nahīñ
surat koi qarar ki din-raat mein nahin
ye chiz wo hai jo mere auqat mein nahin
kahte hain uzr hum ko mulaqat mein nahin
hum tujh se muttafiq magar ek baat mein nahin
wo fasl kaun si hai jo ras aaegi hamein
taskin bahaar mein nahin barsat mein nahin
uqba ka kuchh to ai dil-e-nadan rahe KHayal
kya tujh ko wahm hai ki ajal ghat mein nahin
aazad qaid-o-band se hain aaj ahl-e-fan
paband yani koi kisi baat mein nahin
jo jis ke ji mein aae likhe aur chhap de
kuchh farq sher aur KHurafat mein nahin
parhez-gar bhi use hargiz na jaaniye
'mahrum' agarche ahl-e-KHarabaat mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.