surat se jo dikhai diye the gharib se
sūrat se jo dikhā.ī diye the ġharīb se
ab rashk har kisī ko hai un ke nasīb se
phir us ke ba.ad ham bhī jaleñ tuur kī tarah
bas ek baar dekh leñ un ko qarīb se
jab sang-reza hamdam-e-derīna ho ga.e
to tishnagī bujhā ga.e jo the raqīb se
be-fikr be-ḳhabar chalā jaatā thā ik hujūm
tham jaao ik sadā thī vo kis kī salīb se
surat se jo dikhai diye the gharib se
ab rashk har kisi ko hai un ke nasib se
phir us ke baad hum bhi jalen tur ki tarah
bas ek bar dekh len un ko qarib se
jab sang-reza hamdam-e-derina ho gae
to tishnagi bujha gae jo the raqib se
be-fikr be-KHabar chala jata tha ek hujum
tham jao ek sada thi wo kis ki salib se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.