Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota

Khalida Uzma

sawad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota

Khalida Uzma

MORE BYKhalida Uzma

    savād-e-ġham ho bazm-e-tarab kuchh bhī nahīñ hotā

    zabāñ marham rakkhe zaḳhm ab kuchh bhī nahīñ hotā

    chale aate haiñ be-mausam bārish tarah aañsū

    basā-auqāt rone sabab kuchh bhī nahīñ hotā

    jo hotā hai to bas itnā ki lafzoñ bharam TuuTe

    suḳhan aatā hai aksar tā-ba-lab kuchh bhī nahīñ hotā

    kabhī the mehrbāñ mausam kabhī sāvan barastā thā

    aur ab dhartī hai saarī tishna-lab kuchh bhī nahīñ hotā

    tamannā jhāñktī hai rauzan-e-zindāñ se chhup chhup kar

    asīrī meñ magar anjām-e-shab kuchh bhī nahīñ hotā

    qayāmat guzartī hai qayāmat aa nahīñ jaatī

    koī be-jān ho jāñ-ba-lab kuchh bhī nahīñ hotā

    jibillat sar uThā le to ḳhas-o-ḳhāshāk hai insāñ

    baḌā ho naam ūñchā nasab kuchh bhī nahīñ hotā

    yahāñ hotā hai ba.ad-az-marg vāvailā bahut lekin

    koī mar mar ke jab jiitā ho tab kuchh bhī nahīñ hotā

    ye duniyā hai yahāñ tārīḳh dohrā.ī jaatī hai

    anokhā kuchh nahīñ hotā 'ajab kuchh bhī nahīñ hotā

    sawad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota

    zaban marham rakkhe ya zaKHm ab kuchh bhi nahin hota

    chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu

    basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota

    jo hota hai to bas itna ki lafzon ka bharam TuTe

    suKHan aata hai aksar ta-ba-lab kuchh bhi nahin hota

    kabhi the mehrban mausam kabhi sawan barasta tha

    aur ab dharti hai sari tishna-lab kuchh bhi nahin hota

    tamanna jhankti hai rauzan-e-zindan se chhup chhup kar

    asiri mein magar anjam-e-shab kuchh bhi nahin hota

    qayamat si guzarti hai qayamat aa nahin jati

    koi be-jaan ho ya jaan-ba-lab kuchh bhi nahin hota

    jibillat sar uTha le to KHas-o-KHashak hai insan

    baDa ho nam ya uncha nasab kuchh bhi nahin hota

    yahan hota hai baad-az-marg wawaila bahut lekin

    koi mar mar ke jab jita ho tab kuchh bhi nahin hota

    ye duniya hai yahan tariKH hi dohrai jati hai

    anokha kuchh nahin hota 'ajab kuchh bhi nahin hota

    Source :
    • Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 66)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now