ta-ba-kai manzil-ba-manzil hum musafir bhagte
tā-ba-kai manzil-ba-manzil ham musāfir bhāgte
aañkh ab Thahrī huī hai aur manāzir bhāgte
ai harīf-e-har-qadam shah-māt se bachne kī soch
is bisāt-e-ḳhāk se kyā ham se shātir bhāgte
ham to aa.e haiñ yahāñ miTne miTāne ke liye
is zamīn-e-karbalā se kis kī ḳhātir bhāgte
bas meñ aa jaane kā jazba bas meñ karne kī havas
ḳhāk-o-bād-o-āb-o-ātish bhī haiñ qāsir bhāgte
sar kahīñ paañv kahīñ āñkheñ kahīñ chehra kahīñ
is havas meñ kho ga.ī pahchān āḳhir bhāgte
'ḳhair' shab-ḳhūñ maar kar chhup jaane vaale ham nahīñ
ma.arka sar karne nikle haiñ to kyā phir bhāgte
khod lete haiñ kuaañ shahdāb pā lete haiñ 'ḳhair'
is zamīn-e-saḳht se kyā ham se shā.ir bhāgte
ta-ba-kai manzil-ba-manzil hum musafir bhagte
aankh ab Thahri hui hai aur manazir bhagte
ai harif-e-har-qadam shah-mat se bachne ki soch
is bisat-e-KHak se kya hum se shatir bhagte
hum to aae hain yahan miTne miTane ke liye
is zamin-e-karbala se kis ki KHatir bhagte
bas mein aa jaane ka jazba bas mein karne ki hawas
KHak-o-baad-o-ab-o-atish bhi hain qasir bhagte
sar kahin panw kahin aankhen kahin chehra kahin
is hawas mein kho gai pahchan aaKHir bhagte
'KHair' shab-KHun mar kar chhup jaane wale hum nahin
marka sar karne nikle hain to kya phir bhagte
khod lete hain kuan shahdab pa lete hain 'KHair'
is zamin-e-saKHt se kya hum se shair bhagte
- Book : siip (Magzin) (Pg. 256)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.