ta-falak hai KHushbuon ka silsila
tā-falak hai ḳhushbuoñ kā silsila
pheñk de mujh ko ḳhalāoñ meñ zarā
chhoḌ ke tanhā mujhe kyoñ vo ga.e
maiñ bhī hairāñ huuñ kyā hai maiñ ne kiyā
chāñdnī pighlī huī thī raat kī
din na jaane kyoñ udāsī meñ rahā
ab kabhī shāyad nahīñ aa.egā vo
din bhī Duubā raat ne pahra kiyā
aaj bhī bāhar na din bhar jā sakā
rāsta thā dhund meñ lipTā huā
zindagī ne dard jo mujh ko diyā
shā'irī se vo kisī had tak miTā
ta-falak hai KHushbuon ka silsila
phenk de mujh ko KHalaon mein zara
chhoD ke tanha mujhe kyon wo gae
main bhi hairan hun kya hai main ne kiya
chandni pighli hui thi raat ki
din na jaane kyon udasi mein raha
ab kabhi shayad nahin aaega wo
din bhi Duba raat ne pahra kiya
aaj bhi bahar na din bhar ja saka
rasta tha dhund mein lipTa hua
zindagi ne dard jo mujh ko diya
sha'iri se wo kisi had tak miTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.